 |
Pixabay.com |
Naakhun katarnay ki aadat ka aaghaz aam tor par bachpan mein hota hai. Bohat se log jin ki yeh aadat bachpan se hoti hai bil akhir is mein izafah hojata hai, lekin kuch logon ke liye, yeh Umar bhar ki aadat ban jati hai jisay chhorna intehai mushkil ho sakta hai. Hum mein se beshtar yeh soch kar barray hue ke apne naakhun kutarna aik buri aadat hai jisay hamein tark karne ki zaroorat hai. Lekin mahireen is aadat mein mubtala afraad ki shakhsiyat ke baray mein chand dilchasp haqayiq bhi bayan karte hin.
Learn Blogging Visit Lobloom.com
Behtareen karkardagi
Tehqeeq se yeh baat saabit hui hai ke aisay afraad jin mein naakhun katarnay ki aadat payi jati hai woh tawaquaat se barh kar karkardagi ka muzahira karne ki salahiyat rakhtay hin. Mohqiqeen ne aik surway ke douran chand afraad ko do hisson mein taqseem kardiya aur un mein se aik hissa aisay afraad par mushtamil tha jo naakhun katarnay ki aadat mein mubtala thay. Mahireen ne paaya ke aadat mein mubtala afraad apne tamam kaam khud se behtareen andaaz mein saranjam dainay ki salahiyat mojood hai.
Aap soch se ziyada zaheen hain
Naakhun katarnay ki aadat mein mubtala afraad ki aik khasiyat yeh bhi hoti hai ke yeh aam afraad ki terhan mamool ki raftaar se apne kaam saranjam nahi dete balkay ghair mamooli taizi ka muzahira karte hue waqt se pehlay hi apne kaam paya takmeel tak pouncha dete hin bohat saaray logon mein shadeed pareshani ke lamhoon ke douran apne naakhun katarnay ka rujhan hota hai aur is waqt woh kisi maslay ko hal karne ki koshish kar rahay hotay hain.
Be sabri
Boriyat aur mayoosi naakhun katarnay ka sabab banti hai, aur agar yeh aik baar aadat ban jaye to jab bhi aap bore hotay hain ya phir kisi ka shiddat se intzaar kar rahay hotay hain to is waqt naakhun katarty dikhayi dete hin.
Aap apne aap se khush nahi
Apne naakhun katarnay ki aadat aik aasabi aadat bhi hosakti hai jo logon ko behtar mehsoos karne mein madad deti hai. is aadat mein mubtala afraad chunkay behtareen karkardagi ka muzahira karne walay hotay hain to is wajah se woh khud se bohat si tawaquaat wabasta kar lete hin. Lekin jab kisi wajah se yeh tawaquaat poori nahi hoten to inhen apne aap se sharmindagi aur mayoosi hoti hai.
Nafsiati masla
Naakhun katarnay ki aadat ko nafsiati maslay se bhi jora ja sakta hai. Jab log baar baar kisi zehni uljan ka shikaar hotay hain to woh is aadat mein mubtala ho jatay hin- yeh aadat dairpa waqay hui hai jis par qaboo paana intehai mushkil kaam hai.