![]() |
Pixabay.com |
Gulf business ke mutabiq amarati passport 2020 mein duniya ka sab se mazboot passport raha, yeh darja bandi passport index ke zariye di gayi hai, jo waqtan foqatan passports ki darja bandi karta hai .
Mutahidda arab amarat ka passport guzashta dahai ke douran mukhtalif 47 darjon par raha, jo 18 win number par tha, is se saal pichlle saal 22 darjay se chaar maqamat ka izafah hwa hai, aur is waqt yeh duniya bhar mein 171 maqamat par visa free service ki sahoolat fraham karta hai .
Yeh index jo international air tansport association ( aayi ae tea ae ) ke khusoosi adaad o shumaar par mabni hai. yeh aik aisay mauqa par aaya hai jab Covid-19 ke wabai amraaz ki wajah se aalmi safar taqreeban moqoof hai .
Henley and partnrz ke chairman christian each killin ke mutabiq' is terhan ki be misaal aalmi sehat ki hungami soorat e haal mein aisay passport ki nisbatan taaqat waqti tor par be maienay hojati hai.
Soys shehri duniya ke 185 mumalik ka baghair kisi paishgi visay ke safar karsaktha hai, lekin guzashta chand hafton se yeh wazeh hochuka hai ke safar ki azadi un awamil par munhasir hai jo kabhi kabhi mukammal tor par hamaray qaboo se bahar hotay hain .
Yeh waqai aik aisi cheez hai jis ke baray mein kamzor passport rakhnay walay mumalik ke tamam shehri index ke nichale darjay par jane jatay hain. Yeh dekhte hoe ke awaami sehat aur salamti ke khadshaat ab kisi bhi cheez par haq bajanib hain. Yahan tak ke sarhad ke baghair Europi union ke andar bhi. ab yeh sochnay ka mauqa hai ke shehriat ki azadi ka bunyadi tor par kya maienay hai khasosan un logon ke liye jo maazi mein usay ghair zaroori cheez tasawwur karte rahay hain .
Japan aik baar phir pehlay number par hai. jahan is ke shehri 191 maqamat par jane ke liye visa free rasai se lutaf andoz hotay hain, singapore dosray number par hai jahan se duniya bhar mein 190 maqamat tak rasai haasil hoti hai .
Khaleej taawun council kuwait aur qutar ke mumalik mein, yeh 95 visa free dakhlay ke sath aalmi satah par 57 win number par hai. is ke baad amarat ka number hai, jabkay bahrain 64, Amman ne 65 aur Saudi arab 67 win number par hai jo pichlle saal 70 win number par tha .
Taham corona virus ki wajah se sakht safri pabandion aur lock down ke sabab poori duniya mein ghair zaroori safar par sakhti se pabandi hai .
Kamzor tareen passport :
Aqwam mutahidda ke 193 mumbar mumalik ke passport index ki darja bandi ke mutabiq aath mumalik ke passport saal 2020 ke liye duniya ke 10 sab se kamzor passports ki darja bandi mein aakhri saf mein shaamil thay .
' Passport index' ki darja bandi un mumalik ki tadaad ke mutabiq ki gayi hai jo passport ko baghair visa daakhil honay ya anay par visa haasil karne ki ijazat dete hain .
Iraqi passport ke haamil afraad sirf chaar mumalik mein visa ke baghair safar kar satke hain, iraqi passport is fehrist mein sab se aakhir mein hai. is passport ke sath 27 mumalik mein pahunchte waqt jabkay 167 mumalik mein pehlay se visa lena laazmi hai .
Afghanistan duniya ke kamzor tareen passport ke tor par dosray number par, shaam ka teesra, somalia ka choutha, Yemen ka panchawan, Iran ka chhata, Palestine ka satwaan number hai jabkay Pakistani passport aathween number ( 32 mumalik mein visa free entry ) par hai. naveen number par shumali Korea ka passport jabkay myanmar ka passport dasvin number par hai .
Website ke mutabiq corona virus ne bohat se aalmi passports ki darja bandi ko mutasir kya hai aur kuch passports pichlle saal ke muqablay mein mazeed neechay aagaye .